naaz ka maara hua huun main ada ki saugand
kushta-e-jaur-o-jafa huun main vafa ki saugand
ḳhvah kafir mujhe kah ḳhvah musalman ai shaiḳh
but ke hathon men bikaya huun ḳhuda ki saugand
kuchh ḳhabar rah-e-fana ki bhi rakhe hai ham se
kah de ai ḳhizr tujhe ab-e-baqa ki saugand
yaar se ḳhvari-o-rusva.i hamen behtar hai
ghair ki izzat-o-hurmat se vafa ki saugand
sham.a ki raushni sar kaTne se hoti hai do-chand
dard hi se mujhe hasil hai dava ki saugand
us ki gar jaan se matlab nahin tujh ko ai miyan
chhuTe kyuun khata hai har dam tu ‘raza’ ki saugand
Leave a Reply