kis buri saaat se khat le kar gaya
nama-bar ab tak na aaya mar gaya
jaate hi dil us gali men mar gaya
marne vaala bevafai kar gaya
dil to jaane ko gaya lekin mujhe
us bhari mahfil men rusva kar gaya
hasraten thiin jiine vaali ji gaiin
marne vaala tha dil apna mar gaya
gham ki lazzat ibtida men thi magar
is qadar khaya ki ab ji bhar gaya
har nivala us ka ab to talkh hai
umr nemat thi magar ji bhar gaya
kya kahun ahval uthti bazm ka
pahle miina baad ko saghar gaya
dil ne ik din bhi na dekha tujh ko aah
us gali tak khvab men aksar gaya
marne vaale dil tujhe ab kya kahun
khair bakhsha main ne jo kuchh kar gaya
kya kahun in ansuon ka zor o shor
ankhen jhapki thiin ki chullu bhar gaya
dil gila karta tha khuub us shokh ka
tazkira mahshar ka sun kar dar gaya
jis jagah daara ko bheja tha vahin
kuchh dinon ke baad askandar gaya
jis ka kahlata hai vaan thi kya kami
ai gada kyuun mangne dar-dar gaya
dil ne sabqat ki havas o sabr par
pahle sultan baad ko lashkar gaya
munh se nikla tha ki pahuncha arsh par
nala-e-dil naam uncha kar gaya
dil ye umda mai se khali dekh kar
jaam ashkon se labalab bhar gaya
gir na jaae khaak par qatra koi
bas bas ai saaqi ki saghar bhar gaya
mai-kasho matam karo ab ‘shad’ ka
haae kya mai-khvar rahlat kar gaya
‘shad’ kya kuchh kam hain do kam saath saal
zindagi se bas dil apna bhar gaya
Leave a Reply