Ye Tanhai Ye Uzlat Ai Dil Ai Dil

ye tanhā.ī ye uzlat ai dil ai dil

javānī meñ ye hālat ai dil ai dil

nagar hotā to koī baat bhī thī

bayābāñ meñ ye vahshat ai dil ai dil

bhalā kyā is bharī duniyā meñ tanhā

vahī hai ḳhūbsūrat ai dil ai dil

kise hotī nahīñ us kī zarūrat

magar itnī zarūrat ai dil ai dil

zamāna chāhiye dil jītne ko

ye be-tābī ye ujlat ai dil ai dil

ye aañsū haiñ koī motī nahīñ haiñ

luTāte haiñ ye daulat ai dil ai dil

‘shu.ūr’ aayā huā baiThā hai kab se

ye be-hoshī ye ġhaflat ai dil ai dil

Leave a Comment