Siwae Rahmat-E-Rab Kuchh Nahin Hai

sivā.e rahmat-e-rab kuchh nahīñ hai

bahut kuchh thā magar ab kuchh nahīñ hai

jahāñ maiñ huuñ magar kyā jāniye kyuuñ

mujhe duniyā se matlab kuchh nahīñ hai

ye vaqt-e-naz.a hai kyā nazr duuñ maiñ

ab aa.e ho yahāñ jab kuchh nahīñ hai

añdhere meñ vo sūjhī ye na sūjhī

tirī shab hai mirī shab kuchh nahīñ hai

faqat taqdīr kī kaayā palaT hai

munāsib aur insab kuchh nahīñ hai

na pūchho dil se us kī raah kā haal

sivā-e-ishq maz.hab kuchh nahīñ hai

na ho gar shām-e-hijrāñ ke barābar

tū bahar-e-vasl ik shab kuchh nahīñ hai

pas-e-dil ab kahāñ ābādī-e-dahr

jo sab kuchh thā vahī sab kuchh nahīñ hai

ḳhudā kā vāsta kyā duuñ use maiñ

jahāñ maiñ jis kā maz.hab kuchh nahīñ hai

chaman thā jab chaman thā āshiyāñ bhī

vahīñ thā maiñ jahāñ ab kuchh nahīñ hai

muhassal nazm-e-‘sāqib’ kā na pūchho

faqat lafzeñ haiñ matlab kuchh nahīñ hai

Leave a Comment