maz.hab-e-ishq ke irfan pe hairan nikla
qais jab dasht ko nikla to pareshan nikla
shiddat-e-shauq men sarmast-o-shadan nikla
gham-rasida bhi agar tha to ghazal-ḳhvan nikla
un se milne ki tamanna liye Darta hi raha
dil ye kafir mira dar-parda musalman nikla
shaam aa.i to lab-e-la.alin ki shoḳhi le kar
mehr bikhrate hue la.al-e-badaḳhshan nikla
jab ki parvaz-e-taḳhayyul ne bhi surat paali
kitna be-ma.ani sa ab taḳht-e-sulaiman nikla
jaane kab chupke se ankhon ne dar-e-dil khola
aaya ik baar to phir ghar se na mehman nikla
ḳhvab hi achchhe the TuuTe to hua ye ifsha
jis ko gulzar samajhte the bayaban nikla
qaidi-e-husn ki sarkar men peshi jo hui
ishq sarshar tha didar ka unvan nikla
da.ere fikr ke mahdud hon mumkin hi nahin
kab ‘asar’ mo’tarif-e-tangi-e-daman nikla
Leave a Reply