ye tamanna hai ki is tarah musalman hota
main tire husn pe sau jaan se qurban hota
alam-e-josh-e-junun men jo ada hoti namaz
sar mira sar kahan hota dar-e-janan hota
kuchh tamanna hai to bas ye hai mohabbat men mujhe
mere hathon men mire yaar ka daman hota
tu agar apna bana leta mujhe mere sanam
kyuun mohabbat mira chak-e-gareban hota
sab karishma hai faqat rang-e-dui ka varna
mazhab-e-pir-e-mughan mushrib-e-rindan hota
na dikhate mujhe jalva magar itna karte
aap ka gham miri taskin ka saman hota
thaam kar main tire daman ka ‘fana’ ho jaata
kaash is tarah mukammal mira iman hota
Leave a Reply