Ye Soch Kar Main Ruka Tha Ki Tu Pukarega

ye soch kar maiñ rukā thā ki tū pukāregā

kise ḳhabar thī khañDar chār-sū pukāregā

kabhī to shāḳh-e-ta.alluq meñ phuul ā.eñge

kabhī to sard badan ko lahū pukāregā

maiñ ek pal ke liye bhī agar huā ojhal

mirā junūn mujhe kū-ba-kū pukāregā

zamīn us ke liye tañg hotī jā.egī

ḳhudā-e-ishq ko jo be-vuzū pukāregā

kisī tarah bhī ishāroñ se mutma.in na huā

shu.ūr-e-zāt tujhe rū-ba-rū pukāregā

Leave a Comment