ye shabnam phuul taare chandni men aks kis ka hai
sunahri dhuup chhanv raushni men aks kis ka hai
ye Dhalti shaam ye qaus-e-quzah ki rang-amezi
ye niile asman ki dilkashi men aks kis ka hai
suhani shab liye aghosh men ḳhvabon ki pariyon ko
chamakte din ki is afsun-gari men aks kis ka hai
ana ki sar-kashi ummid-e-arman ḳhvab ki duniya
dhaḌakte dil fusun-e-zindagi men aks kis ka hai
ye ‘sayyad’ ḳhvab se tarshe hue nazuk hasin paikar
nuqush-e-rashk-e-sehr-e-samri men aks kis ka hai
Leave a Reply