karenge choT havaon pe kargar to ho
bahav un ka badal jaa.e ye asar to ho
safar ye zindagi ka is qadar hai lazim kyon
safar men ham hain magar ham men ye safar to ho
ma.ani manzilon aur raston ke hai tab hi
ki lauTne ko musafir ke koi ghar to ho
haan lutf ruThne ka bhi unhen mile lekin
hamare paas manane ka kuchh hunar to ho
jabin pe ḳhaak yahan ki laga ke ghumenge
gali se apni kabhi un ka bhi guzar to ho
jidhar vo hai vahan ham na ho to kidhar jaa.en
idhar vo ho nahin sakte to ham udhar to ho
rahi talash hamen umr bhar sahar ki so
talash men kahin apni bhi ik sahar to ho
nazar agar hai tiri to nazar nahin aati
nazar ko aa.e nazar aisi ik nazar to ho
Leave a Reply