ye sach hai vafa us ne va.ada kiya
tamasha magar kuchh ziyada kiya
saliqe se rakkha har ik chiiz ko
yuun kamre ko apne kushada kiya
kaḌe kos pag pag jhulasti zamin
ye rasta bhi tai pa-piyada kiya
yuun hi apne ghar se nikal aa.e hain
safar aaj phir be-irada kiya
har ik baat dil manta hai miri
koi yaar to sidha-sada kiya
taraf-dar ‘ghalib’ ke ham bhi rahe
magar ‘mir’ se istifada kiya
libas apna ‘faruq’ ḳhush-rang tha
magar dhuup ne us ko saada kiya
Leave a Reply