• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hain Bazm-E-Gul Mein Bapa Nauha-KHwaniyan Kya Kya

Hain Bazm-E-Gul Mein Bapa Nauha-KHwaniyan Kya Kya

hain bazm-e-gul men bapa nauha-ḳhvaniyan kya kya

bahar chhoḌ ga.i hai nishaniyan kya kya

tamam umr gul-o-mul ke darmiyan guzri

tamam umr rahin sar-giraniyan kya kya

vo shaḳhs-e-itr-badan jab bhi samne aaya

dil-o-nazar pe huiin gul-o-fashaniyan kya kya

ḳhabar na thi yahi vaj.h-e-sukun-e-jan hogi

nigah-e-yar se thiin bad-gumaniyan kya kya

Tapak ke aankh se tufan uTha diye jis ne

is ek ashk men thiin be-karaniyan kya kya

huzur-e-yar se jab izn-e-guftugu na mila

suḳhan-taraz huiin be-zabaniyan kya kya

har ek dard ko darman bana diya us ne

jafa ke bhes men thiin mehrbaniyan kya kya

vo husn aaj bhi hila-gari men yakta hai

dil-e-gharib sunega kahaniyan kya kya

us ik jamal-e-gurezan ki justuju men ‘zahir’

ḳharab-o-ḳhvar hui hain javaniyan kya kya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Salim Dil Ko Mayassar Sakun Zara Na Hua

Dubta Hun Jo haTata Hun Nazar Pani Se

Teri KHwahish Na Jab Ziyaada Thi

poet

Bhul Kar Bhi Idhar Nahin Aata

Rida-E-Rahat-E-Kaun-O-Makan oDh Ke Dekh

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet