• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Sach Hai Un Mein Ye Baaten to Han Hain

Ye Sach Hai Un Mein Ye Baaten to Han Hain

poet

ye sach hai un men ye baten to haan hain

baḌe bad-zan nihayat bad-guman hain

ghalat hai ye vo ham par mehrban hain

kahan apni samajh hai ham kahan hain

na ye puchhen na aa.e hijr men maut

ḳhuda bhula hai but na-mehrban hain

nahin uThte hain aa kar ghair hargiz

mohabbat men yahi bar-e-garan hain

subut-e-ishq hai lab ḳhushk sard aah

chhupa.en kya ki ye sab to ayaan hain

na puchho be-ḳhudi-e-ishq ham se

ḳhabar bhi kuchh nahin hai ham kahan hain

vo kuchh samjhen suna den hal-e-dil to

yahi na vo nihayat bad-guman hain

jab aaya navak-e-qatil su-e-dil

jigar hi bol uTTha ham yahan hain

abhi ukta ga.e tum hazrat-e-dil

mohabbat men hazaron imtihan hain

hamen bahla ke rahte hain gham-o-ranj

yahi furqat men goya mehrban hain

na kyon rashk aa.e baḳht-e-mudda.i par

ki vo us par bahut hi mehrban hain

karen kis tarah chahat un ki ham kam

abhi nam-e-ḳhuda vo naujavan hain

kabhi kar di thi zahir ḳhvahish-e-vasl

jabhi se to bahut vo bad-guman hain

hasinon men nahin koi bura.i

magar ik aib ye hai bad-zaban hain

na kyon lutf aa.e ab un ke sitam men

suna hai vo sharik-e-asman hain

kahe dete hain ab dil ko sambhalo

ki ham amada-e-ah-o-fughan hain

samajhte hain hamen aur ghair ko ek

hamare aap achchhe qadr-dan hain

zara Thahro jo aa.e ho dam-e-naz.a

ki ab ham koi dam ke mehman hain

‘fahim’ itna hi kya kam hai hamen faḳhr

suno ahl-e-zaban shirin-zaban hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

akhtar-azad-1

Hans Hans Kar Aansu Pi Jaana Aap Ke Bas Ki Baat Nahin

duniya Mein Suragh-E-Rah-E-duniya Nahin Milta

Wo Bahut KHush Hai KHitabaat-O-Muraat Ke Sath

zafar-iqbal

Abhi Aankhen Khuli Hain Aur Kya Kya dekhne Ko

Wo Nikhat-E-Gesu Phir Ai Ham-Nafasan Aai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet