• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Fasl-E-Gul dekh Ke Afzun Hui Wahshat Apni

Fasl-E-Gul dekh Ke Afzun Hui Wahshat Apni

poet

fasl-e-gul dekh ke afzun hui vahshat apni

le chale dekhiye kis ja mujhe qismat apni

go mujhe zoaf ne majbur kiya tha lekin

manzil-e-ishq men kaam aa gai himmat apni

tu hi insaf se kah de ki ye parda kya hai

kyuun chhupata hai dikha kar mujhe surat apni

puchhte kya ho fida jaan kiya kyuun main ne

ishq apna hai dil apna hai tabiat apni

mahv-e-nazzara hain ham to kisi janib chhup kar

aur vo aine men dekha kare surat apni

rahat-o-ranj ka ghairon pe asar kya hoga

ranj apna hai alam apna masarrat apni

jaan jaae to chali jaae magar ai qatil

tere kuche hi men ho jaae shahadat apni

sar men sauda-e-havas aur takabbur na rahe

chashm-e-batin se agar dekhe haqiqat apni

tar-e-malbus-e-khudi kyuun rahen baaqi mere

panja-e-dast-e-junun apna hai vahshat apni

mar hi jaun main agar hijr men naale na karun

ah-o-zari se nikal jaati hai kulfat apni

dil use de ke ‘jamila’ main abas kyuun rota

us ne rakhne ko mujhe di thi amanat apni

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dil Par Yunhi choT Lagi to Kuchh Din KHub Malal Kiya

Gae the Shauq Se Hum Bhi Ye Duniya Dekhne Ko

Pas Aane Pe Wo Insan Bhi Nahin Lagte Hain

Ahl-E-Mohabbat Ki Majburi baDhti Jati Hai

Dhup Mein Jaise Kuhasa Ek Tasawwur Aap Ka

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet