ye sab kahne ki baten hain ham un ko chhod baithe hain
jab ankhen chaar hoti hain muravvat aa hi jaati hai
vo apni shokhiyon se koi ab tak baaz aate hain
hamesha kuchh na kuchh dil men shararat aa hi jaati hai
na uljho tana-e-dushman pe aisa ho hi jaata hai
jahan ikhlas hota hai shikayat aa hi jaati hai
liya jab naam ulfat ka badal jaati hai sirat bhi
nigah-e-sharm-agin men shararat aa hi jaati hai
kabhi chitvan se an-ban hai kabhi sauda hai gesu ka
nasibon ki ye shamat hai ki shamat aa hi jaati hai
hamesha ahd hote hain nahin milne ke ab un se
vo jab aa kar lipatte hain mohabbat aa hi jaati hai
kahin aram se do din falak rahne nahin deta
hamesha ik na ik sar par musibat aa hi jaati hai
hisab-e-dostan dar-e-dil taqaza hai mohabbat ka
masal mashhur hai ulfat se ulfat aa hi jaati hai
Leave a Reply