• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Raat Dhalte Dhalte Rakh Gai Jawab Ke Liye

Ye Raat Dhalte Dhalte Rakh Gai Jawab Ke Liye

ye raat Dhalte Dhalte rakh ga.i javab ke liye

ki teri ankhen jagti hain kis ke ḳhvab ke liye

kitab dil pe likhne ki ijazat us ne di na thi

hai saada aaj bhi varaq ye intisab ke liye

miri nazar men aa gaya hai jab se ik sahifa-ruḳh

kashish rahi na dil men ab kisi kitab ke liye

hamari mahzar-e-amal hai zer-e-faisla abhi

khaḌe hain sar jhuka.e kab se ehtisab ke liye

purane paḌ chuke kabhi ke sab tariqa-e-sitam

ḳharabi aur chahiye dil-e-ḳharab ke liye

samajh rahe hain sab yahan hai zindagi azab-e-jan

magar ye bhag-dauḌ hai isi azaab ke liye

tamam jism zaḳhmon se gulab-zar ho gaya

to laḌ rahe hain ‘anjum’ ab ye kis gulab ke liye

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHamosh Lahje Mein Mujhse Dalil Karte Hue

poet

Zamin Se Aasman Tak Ka Safar Hai

Kaun Kahta Hai Ki Benam-O-Nishan Ho Jaunga

Yun Aap Jo Aasuda-E-Gham Karte Rahenge

majrooh-sultanpuri

Taqdir Ka Shikwa Be-Mani Jina Hi Tujhe Manzur Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet