• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kabe Se Mujhko Lae Sawad-E-Kunisht Mein

Kabe Se Mujhko Lae Sawad-E-Kunisht Mein

poet

kaabe se mujh ko laae savad-e-kunisht men

islah di buton ne khat-e-sar-navisht men

phirte hain kucha-e-but-e-qudsi-sarisht men

divane laten maar rahe bahisht men

kaffara-e-sharab main deta huun naqd-e-hosh

sargarm huun talafi-e-aamal-e-zisht men

aksar jaza-e-sajda men khani hain thokaren

likkha hai kya khat-e-kaf-e-pa sarnavisht men

huron se garmiyan jo kahun us sharir ki

lag jaae aag atish-e-gul se bahisht men

sunti hai roz naghma-e-zanjir-e-ashiqan

vo zulf bhi hai silsila-e-ahl-e-chisht men

zindan se ankhen senkne us gul ke ghar gae

dozakh se aag lene chale ham bahisht men

begane ik hamin nazar aae pas-e-fana

bedardon ka hujum hai bagh-e-bahisht men

but-khane men safedi-e-husn-e-farang hai

girje ki raushni hai savad-e-kunisht men

jal jal ke khaak hote hain be-ashk-o-ah ham

ab-o-hava nahin hai hamari sarisht men

garmi men tere kucha-nashinon ke vaste

pankhe hain qudsiyon ke paron ke bahisht men

sona kasaun ashrafi-e-dagh-e-sajda ka

sang-e-mahak lagaun bina-e-kunisht men

bijli chamak gai jo hansi men phadak gae

shokhi bhari hui hai tumhari sarisht men

tasviren teri dast-e-hinai ki le gae

chhape lahu ke ham ne lagae bahisht men

karti hain khuun charkh buton ki taalliyan

rang-e-shafaq lagati hai saqf-e-kunisht men

abr-e-bahar jauhar-e-shamshir-e-yar the

gulha-e-zakhm khil gae urdi-bahisht men

taqdir men hai teri dahan-o-kamar ka ishq

sirr-e-nihan likha hai miri sarnavisht men

di jaan ek huur ke bose ki chaat par

qismat ne mujh ko zahr diya hai bahisht men

choron se guftugu-e-khat-e-sabz-e-yar hai

tuuti kisi ka bol raha hai bahisht men

adna ghulam-e-shah-e-vilayat hue ‘munir’

dasht-e-najaf ki khaak hai meri sarisht men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tera Visal Hai Behtar Ki Tera Kho Jaana

Mila-Dila Sahi Ek KHushk Haar Baqi Hai

poet

Muft Kab Aazad Karti Hai Giraftari Mujhe

bashir-badr

Falak Se Chand Sitaron Se Jam Lena Hai

Hijrat Karo to Rishta-O-Saman chhoD Kar

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet