Haalat Meri Rah Mein Hail to Nahin The

hālāt mirī raah meñ haa.il to nahīñ the

is zindagī meñ itne masā.il to nahīñ the

ye aaj achānak huī kyuuñ ham pe tavajjoh

vo lutf-o-karam pe kabhī maa.il to nahīñ the

ik dūsre se duur nikal aa.e haiñ ham log

ham bhī kabhī ye fāsle haa.il to nahīñ the

tū ne hameñ shāyad ġhalat andāz se sochā

ham tere tamannā.ī the saa.il to nahīñ the

ab mo’taqid-e-gardish-e-hālāt haiñ varna

ham gardish-e-hālāt ke qaa.il to nahīñ the

chehre pe masarrat kī jhalak ḳhuub thī lekin

āsār ġham-o-dard ke zaa.il to nahīñ the

ik kushta-e-hālāt kī kuchh aas bañdhā.īñ

logoñ meñ magar aise ḳhasā.il to nahīñ the

jin kohna rusūmāt meñ ham jakḌe hue haiñ

un kohna rusūmāt ke qaa.il to nahīñ the

jiinā baḌā mushkil thā magar phir bhī jiye ‘arsh’

jiine ke liye itne vasā.el to nahīñ the

Leave a Comment