• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Maine Un Se Jo Kaha Dhyan Mera Kuchh Bhi Nahin

Maine Un Se Jo Kaha Dhyan Mera Kuchh Bhi Nahin

main ne un se jo kaha dhyan mira kuchh bhi nahin

haa.e kis naaz se hans hans ke kaha kuchh bhi nahin

arz ki kuchh dil-e-ashiq ki ḳhabar hai to kaha

haan nahin kuchh nahin bas kah to diya kuchh bhi nahin

tu na aaya shab-e-va.ada to gaya kya tera

mar miTe ham tire nazdik hua kuchh bhi nahin

kya hai anjam-e-mohabbat koi puchhe ham se

jite-ji ḳhaak men milne ke siva kuchh bhi nahin

kis ki mehr aur vafa ab hai jafa se bhi gurez

kyuun na jal kar kahen ulfat men maza kuchh bhi nahin

ankhon hi ankhon men dil le gaya siine se nikal

haath se ham ne diya us ne liya kuchh bhi nahin

mire allah ye patthar ki buton ka dil hai

rahm rusva.i ka Dar ḳhauf-e-ḳhuda kuchh bhi nahin

kaun sa dard hai jis ka nahin duniya men ilaaj

lekin is dard-e-mohabbat ki dava kuchh bhi nahin

dekha ‘kaifi’ ko to be-saḳhta yuun bol uThe

ab to bimar-e-mohabbat men raha kuchh bhi nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aaine Kahte Hain Is KHwab Ko Ruswa Na Karo

Dhup Barish Hawa Kamar-Basta

Dard Dil Mein Magar Lab Pe Muskan Hai

Is Raat Kisi Aur Qalam-Rau Mein Kahin Tha

Sab Se Aasan Jis Ka Thikana Laga

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet