zara si der ko chamka tha vo sitara kahin
thahar gaya hai nazar men vahi nazara kahin
kahin ko khinch rahi hai kashish zamane ki
bula raha hai tiri aankh ka ishara kahin
ye lahr bahr jo milti hai har taraf dil men
badal gaya hi na ho zindagi ka dhara kahin
ye soch kar bhi to us se nibah ho na saka
kisi se ho bhi saka hai mira guzara kahin
ravan-davan raho har-chand ‘aftab-husain’
dikhai deta nahin duur tak kinara kahin
Leave a Reply