aah jis vaqt sar uthati hai
arsh par barchhiyan chalati hai
naz-bardaar-e-lab hai jaan jab se
tere khat ki khabar ko paati hai
ai shab-e-hijr raast kah tujh ko
baat kuchh subh ki bhi aati hai
chashm-e-bad-dur-chasm-e-tar ai ‘mir’
ankhen tufan ko dikhati hai
Leave a Reply