chandni raat men har dard sanvar jaata hai
jaane kya kya sar-e-ehsas bikhar jaata hai
dekhte ham bhi hain kuchh khvab magar haae re dil
har nae khvab ki taabir se dar jaata hai
maut ka vaqt muayyan hai to phir baat hai kya
kaun hai mujh men jo har saans pe mar jaata hai
dil men gad jaati hai jab saat-e-mazi ki salib
vaqt ruk jaata hai insan guzar jaata hai
Leave a Reply