ye naqsh aisa nahin hai jise miTa.un main
mujhe bata ki tujhe kaise bhuul ja.un main
koi lakir hi raushan nahin hatheli par
najumiyon ko bhala haath kya dikha.un main
bujha bujha sa nazar aa raha hai har koi
fasana-e-gham-e-hasti kise suna.un main
yaqin karo ki miri jiit phir yaqini hai
magar kaho to ye baazi bhi haar ja.un main
nazar ke samne manzil ke raste hain bahut
ye sochta huun qadam kis taraf baḌha.un main
ye baat sach hai ki buniyad huun imarat ki
ye aur baat kisi ko nazar na aa.uun main
gham-e-zamana se fursat kahan ‘asar-sahab’
dua ko haath jo apne liye uTha.un main
Leave a Reply