ye naam mumkin nahin rahega maqam mumkin nahin rahega
ghurur lahje men aa gaya to kalam mumkin nahin rahega
ye barf-mausam jo shahr-e-jan men kuchh aur lamhe thahar gaya to
lahu ka dil ki kisi gali men qayam mumkin nahin rahega
tum apni sanson se meri sansen alag to karne lage ho lekin
jo kaam asan samajh rahe ho vo kaam mumkin nahin rahega
vafa ka kaghaz to bhiig jaega bad-gumani ki barishon men
khaton ki baten to khvab hongi payam mumkin nahin rahega
ye ham mohabbat men la-taalluq se ho rahe hain tu dekh lena
duaen to khair kaun dega salam mumkin nahin rahega
Leave a Reply