ai saf-e-mizhgan takalluf bar-taraf
dekhti kya hai ulat de saf ki saf
dekh vo gora sa mukhda rashk se
pad gae hain maah ke munh par cluff
aa gaya jab bazm men vo shola-ru
shama to bas ho gai jal kar talaf
saaqi bhi yuun jaam le kar rah gaya
jis tarah tasvir ho saghar-ba-kaf
Leave a Reply