kahkashan ke tanazur men ham kya hamara sitara hai kya
an-ginat aftabon ki aqlim men ik sharara hai kya
kaun samjhe zaban barg-o-ashjar ki dasht-o-kohsar ki
kaun jaane ki is be-karan ḳhamushi men ishara hai kya
ham mohabbat ko ik mansab-e-ashiqana samajhte rahe
ye na socha mohabbat ki saudagari men ḳhasara hai kya
ye tilism-e-tamasha hai saara jahan ik tilism-e-nazar
raushni ka samundar hain ankhen magar ashkara hai kya
vo hai be-misl us ko usi ke havale se samjha karo
us ke idrak men daḳhl-e-tashbih kya isti.ara hai kya
ek miTTi ke ghar men jiye umr bhar aur miTTi hue
kul jahan yuun to ‘akbar’ hamare liye par hamara hai kya
Leave a Reply