chaak ki khvahish agar vahshat ba-uryani kare
subh ke manind zakhm-e-dil garebani kare
jalve ka tere vo aalam hai ki gar kiije khayal
dida-e-dil ko ziyarat-gah-e-hairani kare
hai shikastan se bhi dil naumid ya rab kab talak
abgina koh par arz-e-giran-jani kare
mai-kada gar chashm-e-mast-e-naz se paave shikast
mu-e-shisha dida-e-saghar ki mizhgani kare
khatt-e-ariz se likha hai zulf ko ulfat ne ahd
yak-qalam manzur hai jo kuchh pareshani kare