din bhar jaane kis kis se ye milta hai
jism hamara shaam ko tanha rahta hai
tasviren hairat se dekha kartin hain
kamra mujh se jaan chhuḌaya karta hai
saari ummiden mujh ko beva lagtin hain
lagta hai saare jag men andhiyara hai
jab bhi husn chaman men dekha karta huun
sar mera ye bhari hota jaata hai
jis murat ko dekh rahe hain sab ke sab
main ne hi ye patthar aaj tarasha hai
ek hi ḳhvab to main ne dekha tha yaaro
ḳhvab koi sadiyon tak chalta rahta hai
duniya mujh ko pagal pagal kahti hai
ab main pagal ho ja.unga lagta hai
ankhon ko talab bana kar ke apni
ik banjara saaya dekha karta hai
Leave a Reply