Kabhi Jo KHak Ki Taqrib-E-Ru-Numai Hui

kabhī jo ḳhaak kī taqrīb-e-rū-numā.ī huī

bahut uḌegī vahāñ bhī mirī uḌaa.ī huī

ḳhudā kā shukr-e-suḳhan mujh pe mehrbān huā

bahut dinoñ se thī luknat zabāñ meñ aa.ī huī

yahī hai ġhazz-e-basar ye hai dekhnā merā

rahegī aañkh tahayyur meñ DabDabā.ī huī

tumhārā merā ta.alluq hai jo rahe so rahe

tumhāre hijr ne kyuuñ Taañg hai aḌaa.ī huī

pakaḌ liyā gayā jaise ki maiñ lagātā huuñ

bujhā rahā thā kisī aur kī lagā.ī huī

lahū lahū huā sajde meñ dil agarche ‘razā’

shab-e-shikast baḌe zor kī laḌā.ī huī

Leave a Comment