• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kali Ghata Kab Aaegi Fasl-E-Bahaar Mein

Kali Ghata Kab Aaegi Fasl-E-Bahaar Mein

poet

kaali ghata kab aaegi fasl-e-bahar men

ankhen safed ho gaiin is intizar men

kyuun kar qarar aae dil-e-be-qarar men

tum puure kab utarte ho qaul-o-qarar men

tarik dasht ho gaya ankhon men qais ki

pinhan hua jo naqa-e-laila ghubar men

aae kabhi na phir tujhe sair-e-chaman men lutf

baithe agar tu aa ke dil-e-dagh-dar men

lazim nahin ki mard musibat men ho malul

khandan hamesha rahta hai gul kharzar men

hai ye kisi ki chashm-e-siyah-mast ka asar

tauba bhi ladkhadane lagi hai bahar men

hote vahan jo ‘dagh’ to dilli bhi dekhte

ab kya karenge ja ke us ujde dayar men

kya khaak apne dil ko tamanna-e-sher ho

juz khaar kuchh nahin chaman-e-rozgar men

juz ‘dagh’ aaj bulbul-e-hindustan hai kaun

kahte hain ham pukar ke ye sau hazar men

ai ‘mashriqi’ nasib na su-e-dua hai ye

kya gham jo jagta huun shab-e-intizar men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Chaaron Taraf Hai KHun Ka Dariya chaDha Hua

poet

Chashm-E-Yaqin Se Dekhiye Jalwa-Gah-E-Sifat Mein

Aisi Bhi Kya uDi Hai KHabar Dekh Kar Mujhe

ismail-merathi

Badla Nahin Koi Bhes Na-Chaari Se

sauda-mohammad-rafi

Har Sang Mein Sharar Hai Tere Zuhur Ka

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet