
Shaista Mufti
daman-e-chak ko siine ka hunar rakhte hain
hain jo ḳhamosh qarine ka hunar rakhte hain
garche ḳhali hai tiri bazm men apna ye ayagh
ham magar aankh se piine ka hunar rakhte hain
asmanon se hamari to kabhi ban na saki
har sitam-zar men jiine ka hunar rakhte hain
thi amavas ki ghani raat magar ankhon men
ashk-e-ḳhun apne nagine ka hunar rakhte hain
soch ki lambi masafat men Thahar kar ik pal
ḳhvab jaise mai-o-mine ka hunar rakhte hain
ik samundar ki jo gahra hai abad ki manind
dil ke sab raaz dafine ka hunar rakhte hain

Leave a Reply