aji chahta hai falak pe jaun
suraj ko ghurub se bachaun
bas mera chale jo gardishon par
din ko bhi na chand ko bujhaun
main chhod ke sidhe raston ko
bhatki hui nekiyan kamaun
imkan pe is qadar yaqin hai
sahraon men biij daal aauun
main shab ke musafiron ki khatir
mishal na mile to ghar jalaun
ashar hain mere istiare
aao tumhen aaine dikhaun
yuun bat ke bikhar ke rah gaya huun
har shakhs men apna aks paun
avaz jo duun kisi ke dar par
andar se bhi khud nikal ke aauun
ai charagaran-e-asr-e-hazir
faulad ka dil kahan se laun
har raat dua karun sahar ki
har subh naya fareb khaun
har jabr pe sabr kar raha huun
is tarah kahin ujad na jaun
rona bhi to tarz-e-guftugu hai
ankhen jo ruken to lab hilaun
khud ko to ‘nadim’ azmaya
ab mar ke khuda ko azmaun
Leave a Reply