ye mujh se puchhte hain charagar kyuun
ki tu zinda to hai ab tak magar kyuun
jo rasta chhoḌ ke main ja raha huun
usi raste pe jaati hai nazar kyuun
thakan se chuur paas aaya tha us ke
gira sote men mujh par ye shajar kyuun
suna.enge kabhi fursat men tum ko
ki ham barson rahe hain dar-ba-dar kyuun
yahan bhi sab hain begana hi mujh se
kahun main kya ki yaad aaya hai ghar kyuun
main ḳhush rahta agar samjha na hota
ye duniya hai to main huun dida-var kyuun
Leave a Reply