qubul tha ki falak mujh pe sau jafa karta
par ek ye ki na tujh se mujhe juda karta
karun huun shaad dil apna tire tasavvur se
agar ye shaghl na hota to kya kiya karta
safed saf.ha-e-kaghaz kahin na phir rahta
agar main jaur-o-jafa ko tiri likha karta
hina ki tarah agar dastaras mujhe hoti
to kis ḳhushi se tire paanv men laga karta
gham-e-firaq gar aisa main janta ‘bedar’
to apne dil ko kisi se na ashna karta
Leave a Reply