dil men hai ik raaz jo honTon tak aa sakta nahin
ya.ani main jis haal men bhi huun bata sakta nahin
be-ḳhudi-e-zauq-e-sajda ne ye aalam kar diya
sar to sar ab to nigahen bhi uTha sakta nahin
hai raza-e-dost men shamil junun-e-ishq bhi
chahe kuchh kiije mujhe to hosh aa sakta nahin
un ke ik jalve men hai mahdud un ke samne
mera jo aalam do-alam men sama sakta nahin
zahir-o-batin ki har tafriq hi jaati rahi
ab main chahun bhi to hal-e-dil chhupa sakta nahin
un ki muḳhtari bhi ik shan-e-karam hai aur kya
jo kisi saa.il se daman tak chhuḌa sakta nahin
‘kaif’ ik ḳhvab-e-pareshan hai kisi mahbub ka
lekin aisa jis ko vo ḳhud bhi bhula sakta nahin
Leave a Reply