
Abhishek Shukla
abru-e-shab-e-tira nahin rakhne vaale
ham kahin par bhi andhera nahin rakhne vaale
aaina rakhne ka ilzam bhi aaya ham par
jab ki ham log to chehra nahin rakhne vaale
ham pe farhad ka kuchh qarz nikalta hai so ham
tum kaho bhi to ye tesha nahin rakhne vaale
ham ko maalum hain az-ru-e-mohabbat so ham
koi bhi dard ziyada nahin rakhne vaale

Leave a Reply