dida-e-jauhar se biina ho gaya
aaina mahv-e-tamasha ho gaya
dekh kar aina-e-zanu tira
aaina mahv-e-tamasha ho gaya
baad-e-mojid alam-e-ijad men
aaina mahv-e-tamasha ho gaya
kar diya hairan jise dikhlai shakl
aaina mahv-e-tamasha ho gaya
vo halab pahuncha to sun lena ye haal
aaina mahv-e-tamasha ho gaya
pusht-bar-divar hai teri huzur
aaina mahv-e-tamasha ho gaya
samne se tere talta hi nahin
aaina mahv-e-tamasha ho gaya
shana hai dil chaak mashshata hai dang
aaina mahv-e-tamasha ho gaya
dekh kar us ru-e-rangin ki bahar
aaina mahv-e-tamasha ho gaya
tere aage chashm-e-ashiq ki tarah
aaina mahv-e-tamasha ho gaya
‘mehr’ ko sakta hai ya ai rashk-e-mah
aaina mahv-e-tamasha ho gaya
mahfil-e-ishrat men mah-ruyon ke ‘mehr’
aaina mahv-e-tamasha ho gaya
Leave a Reply