• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Apne Jalwon Ko Yun Na Aam Karo

Apne Jalwon Ko Yun Na Aam Karo

apne jalvon ko yuun na aam karo

kuchh to parde ka ehtimam karo

zulmaton ki bisat hi kya hai

tum charaghon ka intizam karo

ḳhush-dili se mila karo sab se

ḳhanda-peshani apni aam karo

ye na bhulo ki tum muhafiz ho

yuun na insan ka qatl-e-am karo

apne ajdad hon na sharminda

aisa vaisa na koi kaam karo

is se dil ka sukun milta hai

zikr allah ka mudam karo

muflison ko na dekho nafrat se

tum gharibon ka ehtiram karo

yuun numa.ish karo na daulat ki

is bura.i ka iḳhtitam karo

chahte ho ki barguzida hon

tum haqa.eq ko apne naam karo

mujh ko tum se baḌi mohabbat hai

mere jazbe ka ehtiram karo

agli naslon ko jis se faiz mile

aisa duniya men koi kaam karo

ye na.e ahd ka taqaza hai

qatilon ka bhi ehtiram karo

tez raftar hai zamana ‘zaki’

tum zakavat ko tez-gam karo

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ye Dil Bas Mein Kabhi Mere Raha Nain

ishrat-afreen

Hawwa Ki Beti Ka Pahla dukh

Baat Kaisi Bhi Ho Andaz Naya Deta Tha

Ab Dilae Mujhe Taskin to aaKHir Koi

KHud Se Guzre to Qayamat Se Guzar Jaenge Hum

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet