• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ahl-E-Jahan Ko Mujhse Adawat Hai Kya Karun

Ahl-E-Jahan Ko Mujhse Adawat Hai Kya Karun

poet

ahl-e-jahan ko mujh se adavat hai kya karun

ye tarz-e-intiqam-e-mohabbat hai kya karun

nakami-e-vafa pe nadamat hai kya karun

ai dil ye ek talḳh haqiqat hai kya karun

ḳhud gham-pasand meri tabi.at hai kya karun

is ko har ek ranj men rahat hai kya karun

iz.har-e-dard-e-dil bhi kuchh asan nahin magar

zabt-e-sitam bhi ek musibat hai kya karun

apna raha huun gham ko baḌe ehtiram se

roz-e-azal se ye miri aadat hai kya karun

dil ka qarar chhin liya kis ki yaad ne

ye zindagi-e-hijr musibat hai kya karun

mere payam-e-mehr-o-vafa ka asar ho kya

duniya hi be-niyaz-e-mohabbat hai kya karun

be-vaj.h jis ke naaz uThata huun raat din

us bevafa ko mujh se adavat hai kya karun

apni musibaton ka kisi se gila nahin

apna hi dil mire liye aafat hai kya karun

dil men taḌap hai soz hai gham hai malal hai

ai jazb-e-shauq ye miri qismat hai kya karun

arman aish ka na tamanna nashat ki

jo mil gaya usi pe qana.at hai kya karun

himmat-shikan hain rah-e-mohabbat ke marhale

har moḌ har qadam pe musibat hai kya karun

ḳhud mera dil bhi baat miri manta nahin

is par bhi ab kisi ki hukumat hai kya karun

kya ḳhuub hai ye alam-e-duniya-e-shauq bhi

ik bevafa se mujh ko mohabbat hai kya karun

aa.e na aa.e dil ko yaqin lekin ai ‘kanval’

un ke har ek va.ade men lazzat hai kya karun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aur Taaruf Hamara Ho Bhi Kya

Sham-E-Gham Jab Dar-Ba-Dar Ho Jaegi

Qarib Bhi to Nahin Ho Ki Aa Ke so Jao

Udasiyon Ke Siwa Dil Ki Zindagi Kya Hai

ahmad-nadeem-qasmi

Go Mere dil Ke Zakhm Zati Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet