• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tumhaare Did Ki Hasrat Bahut Mushkil Se Niklegi

Tumhaare Did Ki Hasrat Bahut Mushkil Se Niklegi

poet

tumhare diid ki hasrat bahut mushkil se niklegi

dua ban kar shab-e-gham vo hamare dil se niklegi

ḳhabar kya thi ki teri kaj-ada.i se but-e-ra.ana

bisan-e-sham.a ro kar aarzu mahfil se niklegi

tamanna rafta rafta rang kuchh dikhla.egi apna

banegi nur-e-jan aur dida-e-kamil se niklegi

bisan-e-nik.hat-e-gul chhup nahin sakti chhupane se

ye bu-e-ḳhun-e-ashiq daman-e-qatil se niklegi

nihan kya ḳhaak hogi hasrat-e-didar ashiq ki

vo ik din yaas ban kar dida-e-bismil se niklegi

dikha.egi mohabbat ek din un ko asar apna

sama.i dil men jo un ke vo mere dil se niklegi

tasavvur janib-e-dil chahiye majnun tujhe karna

tu jis laila ka ashiq hai vo is mahmil se niklegi

Thahar ja naqa-e-dilbar ki main chumun qadam tere

sada ye musht-e-ḳhak-e-ashiq-e-be-dil se niklegi

zaban se nala-o-fariyad karna hai abas tera

‘jamila’ vo dua kaam aa.egi jo dil se niklegi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Kahin Pe KHwab Kahin KHwab Ka Guman Nikla

Lab Se Dil Ka Dil Se Lab Ka Rabta Koi Nahin

afroz-alam

Phaile Hue Ghubar Ka Phir Moajiza Bhi dekh

shah-naseer

dil Ko Kis Surat Se Kije Chashm-E-dilbar Se Juda

poet

Khuda Khuda Kar Ke Aae Bhi Wo To Munh Lapete Pade Hue Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet