ek bhi chain ka bistar nahin hone deta
mere ghar ko vo mira ghar nahin hone deta
nit-naya ek shagufa vo dikhata hai mujhe
zulm ki had vo muqarrar nahin hone deta
sab ko dikhlata hai vo chhota bana kar mujh ko
mujh ko vo mere barabar nahin hone deta
kaisi sazish hai ye us ki zara main bhi dekhun
kyuun mujhe vo sar-e-manzar nahin hone deta
khauf kaisa hai ye shahin ke qabile men ‘tapish’
kyuun mamlun men koi par nahin hone deta
Leave a Reply