apne ka hai gunah begane ne kya kiya
is dil ko kya kahun ki divane ne kya kiya
yaan tak satana muj ko ki ro ro kahe tu haae
yaaro na tum suna ki fulane ne kya kiya
parda to raz-e-ishq se ai yaar uth chuka
be-sud ham se munh ke chhupane ne kya kiya
ankhon ki rahbari ne kahun kya ki dil ke saath
kuche ki us ke raah batane ne kya kiya
kaam aai kohkan ki mashaqqat na ishq men
patthar se ju-e-shir ke laane ne kya kiya
tuk dar tak apne aa mire naseh ka haal dekh
main to divana tha pe siyane ne kya kiya
chahun main kis tarah ye zamane ki dosti
auron se dost ho ke zamane ne kya kiya
kahta tha main gale ka tire ho padunga haar
dekha na gul ko sar pe chadhane ne kya kiya
‘sauda’ hai be-tarah ka nasha jam-e-ishq men
dekha ki us ko munh ke lagane ne kya kiya
Leave a Reply