Dil-Ruba Bhi Wo Dil-Nawaz Bhi Hai

dil-rubā bhī vo dil-navāz bhī hai

aur phir sab se be-niyāz bhī hai

rūh-farsā hai soz-e-ishq magar

mujh se pūchho to jāñ-navāz bhī hai

shikva-e-daur-e-āsmāñ hī nahīñ

apnī qismat pe mujh ko naaz bhī hai

kyā tamāshā hai mahfil-e-hastī

ik haqīqat bhī hai majāz bhī hai

jo ḳhudā se bhī kah nahīñ saktā

mere dil meñ nihāñ vo raaz bhī hai

kaun pūchhe ki hazrat-e-‘sīmāb’

aap vāqif haiñ koī ‘rāz’ bhī hai

Leave a Comment