ik fasana sun ga.e ik kah ga.e
main jo roya muskura kar rah ga.e
ya tire mohtaj hain ai ḳhun-e-dil
ya inhin ankhon se dariya bah ga.e
maut un ka munh hi takti rah ga.i
jo tiri furqat ke sadme sah ga.e
tu salamat hai to ham ai dard-e-dil
mar hi ja.enge jo jiite rah ga.e
phir kisi ki yaad ne taḌpa diya
phir kaleja thaam kar ham rah ga.e
uTh ga.e duniya se ‘fani’ ahl-e-zauq
ek ham marne ko zinda rah ga.e
Leave a Reply