ab ki chaman men gul ka ne naam o ne nishan hai
fariyad-e-bulbulan hai ya shohra-e-ḳhizan hai
ham sair kar jo dekha ru-e-zamin ke uupar
asudgi kahan hai jab tak ye asman hai
ham kya kahen zaban se aap hi tu sun rahega
shikva tire sitam ka zalim jahan tahan hai
muddat hui ki mar kar main ḳhaak ho gaya huun
jiine ka bad-guman ko ab tak mire guman hai
holi ke ab bahane chhiḌka hai rang kis ne
nam-e-ḳhuda tujh uupar is aan ajab saman hai
makre se fa.eda kya rindon se kab chhupi hai
kya hajat-e-bayan hai jo kuchh hai sab ayaan hai
rang-e-gulal munh par aisa bahar de hai
juun aftab-e-taban zer-e-shafaq nihan hai
kesar men is tarah se aluda hai sarapa
sunte the ham so dekha to shaḳh-e-za.afaran hai
aap hi men dekh ‘hatim’ vahdat ke biich kasrat
tu ek o ek ja hai aur dil kahan kahan hai
Leave a Reply