dil yaar ki gali men kar aram rah gaya
paaya jahan faqir ne bisram rah gaya
kis kis ne us ke ishq men maara na dam vale
sab chal base magar vo dil-aram rah gaya
jis kaam ko jahan men tu aaya tha ai ‘nazir’
khana-kharab tujh se vahi kaam rah gaya
Leave a Reply