razdar-e-dil-e-betab hua karta hai
ashk ganjina-e-nayab hua karta hai
go na saaqi hai na mahfil hai magar zindan men
der tak zikr-e-mai-e-nab hua karta hai
talḳh hoti to hain ghairon ki jafa.en lekin
talḳh-tar ta.ana-e-ahbab hua karta hai
fikr-e-ara.ish-e-gulshan se junun hai azad
hosh jan-dada-e-asbab hua karta hai
meri duniya-e-mohabbat men sukun-e-sahil
nazr-e-jaulani-e-girdab hua karta hai
ashk-e-ḳhuddar jo sharminda na ho daman se
rashk-e-sad-gauhar-e-ḳhush-ab hua karta hai
nuur jo ḳhaak ke zarron ko daraḳhshani de
faḳhr-e-ḳhurshid-e-jahan-tab hua karta hai
Leave a Reply