bashar ki zaat ko gham se kahan mafar hai miyan
hazar kahiye koi gham nahin magar hai miyan
safar men zad-e-safar hi to kaam aata hai
safar ko sahl na jaano safar safar hai miyan
malal kya karen dastar ke na hone ka
vabal-e-dosh yahan to ḳhud apna sar hai miyan
ba-afiyat guzar aa.e the har talatum se
magar kinare pe ab Dubne ka Dar hai miyan
ye zindagi jo masa.il se par hai aḳhir tak
use basar bhi to karna baḌa hunar hai miyan
jo ponchhe bhi koi aansu to ponchhe kis kis ke
har ek aankh yahan ansuon se tar hai miyan
zamana ho gaya bazi-e-dil to haare hue
rahi hayat so ab vo bhi daav par hai miyan
hai us ka talib-e-did aa.ina bhi main hi nahin
vo pur-kashish hai bahut jazib-nazar hai miyan
ḳhushi to hasti-e-na-mo.atabar na degi ‘vaqar’
jo rishta gham se hai vo phir bhi mo’atabar hai miyan
Leave a Reply