surma.ī shaam ke ḳhvāb oḌhe hue koī aatā rahā koī jaatā rahā
chilchilātī huī dhuup ke saa.e meñ ek būḌhā shajar muskurātā rahā
pattharoñ ke badan se lipaTtī huī kahkashāñ raqs kartī rahī raat bhar
niim uryāñ ḳhayālāt kā devtā apsarāoñ ko naġhme sunātā rahā
jab ki hosh-o-ḳhirad muzmahil ho ga.e dil añdheroñ kī bastī meñ gum ho gayā
sāñvlā ḳhvāb āñkhoñ kī dahlīz par ārzūoñ ke dīpak jalātā rahā
barf kī oḌhnī kohsāroñ ne lī naddiyoñ ne samundar ke lab chhū liye
jhiil se muttasil hans tanhā khaḌā hansnī ke liye giit gaatā rahā
ik ajab kashmakash zindagī bhar rahī vo na samjhā na maiñ us ko samjhā sakā
naqsh iz.hār kā ya.anī iqrār kā maiñ banātā rahā vo miTātā rahā