kabhi tum ne kuchh to diya nahin kabhi ham ne kuchh to liya nahin
hamen zindagi se ho bahs kya koi vaqia to hua nahin
magar aisi koi khalish bhi thi jo faqat hamara nasib thi
ki jo rog ham ne laga liya kisi aur ko to laga nahin
zara dekhna ki vo kaun hai pas-e-ramz-e-vahshat-e-ashiqi
bhala kis ne ham ko shikast di kabhi pahle aisa hua nahin
jise paas aana tha aa gaya aur nafas ke taar bhi jud gae
ki talab ki thiin yahi manzilen koi fasla to raha nahin
badi vusaten hain zamin par hamen aur chahiye kya magar
vo jo husn us ki nazar men hai koi us se badh kar mila nahin
vo jo mil chuki hain aziyyaten chalo maan len ki bahut hua
magar ab mila hai jo hausla kisi aur ko to mila nahin
Leave a Reply