idhar se na jaao
idhar raah men ek budha khada hai
jo peshaniyon aur chehron
pe aisi bhabhut ek mal dega sab jhurriyan phat padengi
siyah, maar jaise, chamakte hue kaale balon
pe aisi sapidi umand aaegi kuchh tadaruk nahin jis ka koi
koi rasta aur dhundo
ki is pir-e-fartut ki tez nazron se bach kar
nikal jaaen aur is ki zad men na aaen kabhi ham
idhar se na jaao
idhar main ne ik shakhs ko jaate dekha hai aksar
javanon ko jo raah men rok leta hai un se
vahin baten karta hai mil kar
jo suqrat karta tha yunan ke manchalon se
yaqinan use ek din zahr piina padega
idhar se na jaao
idhar raushni hai
kahin aao chhup jaaen jakar tamam afaton se
mujhe ek tah-khana maalum hai khushnuma sa
jo shahan-e-dehli ne banvaya tha is gharaz se
ki abdaliyon, nadiri fauj ki dastaras se
bachen aur baithe rahen saare hangamon ki zad se hat kar
ye dar-asl miras hai aap ki meri sab ki
salatin-e-dehli se pahle kisi aur ne is ki buniyad rakkhi thi lekin
vo ab qabl-e-tarikh ki baat hai kaun jaane
idhar se na jaao
idhar shah-nadir nahin aaj koi bhi lekin
vahi qatl-e-am aaj bhi ho raha hai
ye miras hai aap ki meri sab ki
ye saughat bairuni hakim hamen de gae hain
chalo samne ke andhere men ghus kar
utar jaaen tah-khane ki khamushi men
ye sab khidkiyan band kar den
koi chikhne bain karne ki avaz ham tak na aae
koi khuun ki chhint daman pe aakar na baithe
kabhi tum ne ganja piya hai?
koi bhang ka shauq, koi jadi-buti khaai
na koken afyun kuchh bhi
kabhi koi nashsha nahin tum ne chakkha
na aghlam-e-amrd-parasti se rishta raha hai
koi tajraba bhi nahin zindagi kaa?
fasadat dekhe the taqsim ke vaqt tum ne
hava men uchhalte hue danthalon ki tarah shir-khvaron ko dekha tha katte
aur pistan-burida javan ladkiyan tum ne dekhi thiin kya bain karte?
nahin ye to nashsha nahin tajraba bhi nahin aisa koi
ye ik saneha hai
faramosh-gari ka ehsan maano
ye sab kal ki baten hain, bosida baten
jinhen bhuul jaana behtar
faramosh-gari bhi
ik neamat-e-be-baha hai
idhar se na jaao
koi raah men rok lega
naya koi khatra naya masala koi jis ko
na socha na samjha na ehsas hai jis ka ab tak
koi aisi surat nikalo
ye sab afaten apna daman na pakden
koi aur rah-e-farar aisi dhundo
ki ham zindagi ke jahannam ko jannat samajh len!
Leave a Reply